MAUT KA KHAUF AUR INSAN (FEAR OF DEATH)
– كُلُّ نَفْسٍ ذَآئِقَةُ الْمَوْت Kullu nafsin zaiqatul maut -Every soul shall taste death.
Maut sy zyada khofnak sheh maut ka dar hai. Jaisy Jaisy zindgi ka Shaoor Barhta hai,zindgi ki muhabbat barhti hai, maut ka khauf b bharny lagta hai. Jis ko zindgi sy muhabbat na ho usy maut ka khauf kia ho skta hai.
Jab insan k dil main maut ka khauf paida ho jaye to us ki halat ajeeb ho jati hai, aisy jaisy koi insan rat k andhairy sy bhag jana chahy, ya din ko suraj sy bhag jana chahy, Lekan wo bhag nahi skta…!
kahty hain k aik aadmi ko maut ka khatra aur khauf lahaq ho gaya. Wo bhagny laga, taiz bahot taiz . Usy awaz aaee, ”maut tairy peechy nahi,tairy aagy hai”. Wo aadmi fauran mura aur ulti simat bhagny laga. Awaz aaee “Maut tairy peechy nahi, tairy aagy hai”. Wo aadmi bola ajeeb bat ha, peechy ko dorta hun to phr b maut aagy hai, aagy ko dorta hun to phr b maut aagy hai. Awaz aae- “Maut tairy sath hai, tairy andar hai, Tehr jao(Ruk jao) Tum bhag kar nahi ja sakty, Jo illaka zindgi ka hai-wo illaka maut ka hai.” Us aadmi nay kaha, Ab main kia karun? Jawab milla “Sirf Intezar karo, Maut us wakt khud hi aa jaye gi Jab zindgi khatm ho ge aur zindgi zaroor khatm ho gi- Zindgi ka aik nam hai Maut—“. Zindgi apna amal tark kar day usy Maut kahty hain. Us aadmi ny phr swal kia ,”mjy maut ki shakal dikha do ta k main usy pehchan lon”–Awaz aaee, “aayina daikho-maut ka chehra tumhara apna chehra hai,issi nay mayyat banna hai, issi ny murda kehlana hai, Maut sy bachna mumkin nahi.”
Allah (SWT) sy dua hai k hum sab ko marny sy pehly pehly maut ki tyari ki taufeek aata farmaye, aur dunya ki zindgi apny ihkamat k mutabik aur Hazrat Muhammad(SAWW) k aswa husna k mutabik guzarny ki taufeek aata farmaye. Aameen..!